un se mila to phir main kisi ka nahin raha
aur jab bichhaD gaya to KHud apna nahin raha
diwar TuTne ka ajab silsila chala
sayon ke sar pe ab koi saya nahin raha
har ek makan se nam ki taKHti utar gai
dil ki fasil pe koi pahra nahin raha
rahbar badal gae kabhi rahzan badal gae
aur ham-safar bhi koi purana nahin raha
ab us ke husn mein wo karishme nahin rahe
tali to baj rahi hai tamasha nahin raha
shayad paDos mein kahin bijli giri hai aaj
dekho hamare ghar mein andhera nahin raha
dimak lagi hui hai salibon pe shad ab
rasm-e-junun nibahane wala nahin raha
Ghazal
Un se mila to phir main kisi ka nahin raha
Ashraf Shad