un se kah do ki ilaj-e-dil-e-shaida na karen
yahi achchha hai ki bimar ko achchha na karen
kya kaha phir to kaho hum koi shikwa na karen
chup rahen zulm sahen zulm ka charcha na karen
ye tamasha to karen ruKH se uTha den wo naqab
ek aalam ko magar mahw-e-tamasha na karen
waqt-e-aKHir to nikal jae tamanna meri
wo na aise mein bhi aaen kahin aisa na karen
intiha ho gai aazad-dahi ki sayyaad
hum tasawwur mein bhi gulzar ko dekha na karen
roz wo kahte hain aaj aaenge kal aaenge
aise wade se to behtar hai ki wada na karen
KHud-numai unhen ghairon mein liye phirti hai
hum to jab jaanen ki hum se bhi wo parda na karen
tegh ruk jati hai nawak bhi bahak jata hai
koi 'bismil' ko ye samjha de ki taDpa na karen
Ghazal
Un se kah do ki ilaj-e-dil-e-shaida na karen
Bismil Allahabadi