un se iqrar-e-wafa ki aarzu karte rahe
umr-bhar ek be-zaban se guftugu karte rahe
jis taraf nazren uThin ek ajnabi chehra mila
aaina-KHane mein apni justuju karte rahe
tum se mil kar bhi raha hum ko tumhaara intizar
tum ko pa kar bhi tumhaari aarzu karte rahe
kaun jaane runuma hun kaun si jaanib se wo
is liye sajde pe sajda chaar-su karte rahe
husn ki gahraiyan taswir-dar-taswir thin
aaina hum aaine ke ru-ba-ru karte rahe
zindagi pabandiyon ka nam thi lekin 'raza'
hum to zanjiron ko bhi zeb-e-gulu karte rahe
Ghazal
Un se iqrar-e-wafa ki aarzu karte rahe
Moosa Raza