اردو हिंदी
Un se har haal mein tum silsila-jumban rakhna | Shaahi Shayari
un se har haal mein tum silsila-jumban rakhna

Ghazal

Un se har haal mein tum silsila-jumban rakhna

Afsar Mahpuri

;

un se har haal mein tum silsila-jumban rakhna
kuchh madawa-e-gham-e-gardish-e-dauran rakhna

apne qabu mein zara gesu-e-pechan rakhna
ras aata nahin duniya ko pareshan rakhna

is andhere mein bhaTak jaen na yaaden un ki
apni mizhgan pe charaghon ko farozan rakhna

aaj-kal bikte hain bazar mein insan ke zamir
tum ho insan to phir waqat-e-insan rakhna

dagh dil ke hain salamat to koi baat nahin
tirgi lakh sahi subh ka imkan rakhna

mausam-e-shahr-e-nigaran ka koi Thik nahin
gosha-e-dil mein koi aatish-e-sozan rakhna

tum se sach puchho to itni hai guzarish meri
apne 'afsar' ko KHizan mein bhi ghazal-KHwan rakhna