un se dil milte hi furqat ki bala bhi aai
jaan aane bhi na pai ki qaza bhi aai
ab to tum gor-e-ghariban ko chalo be-parda
us ki shamon ko hawa ja ke bujha bhi aai
hijr mein arsh se nakaam dua hi na phiri
na-rasa ho ke meri aah-e-rasa bhi aai
baat puri na suni hum ne kabhi naseh ki
Tok uThe apni samajh mein jo zara bhi aai
pher li ruKH se nazar us ne kis andaz ke sath
aaine mein jo nazar apni ada bhi aai
dekh kar haal mera un se hansi ruk na saki
rokne ke liye har chand haya bhi aai
nash pe aa ke meri us ne wo baaten chheDin
har azadar ko ibrat bhi haya bhi aai
nigah-e-shauq ne kya raaz-e-nihan fash kiya
hum se parda bhi hua aaj haya bhi aai
naza mein aa ke meri sirf ye puchha us ne
ab batao kisi masraf mein wafa bhi aai
dil hi KHasta na hua lashkar-e-gham ke hathon
balki is marke mein kaam dua bhi aai
dawa-e-sehr-e-bayani hai abas ai 'raghib'
'mir'-sahib ki tumhein tarz-e-ada bhi aai
Ghazal
Un se dil milte hi furqat ki bala bhi aai
Raghib Badayuni