un se bhi kahan meri himayat mein hila sar
kahte the jo har baat pe hazir hai mera sar
han ye hai ki aahista-kalami ka hun mujrim
KHamosh-mizaji to hai ilzam sarasar
jis rose se aaya hai ye qatil ki nazar mein
us rose se jhukne ki ada bhul gaya sar
ghairat ke muqabil thi zarurat bhi hawas bhi
ye marka mushkil tha magar hum ne kiya sar
ek rose ek insan ne mujhe kah diya insan
us rose bahut der na sajde se uTha sar
Ghazal
Un se bhi kahan meri himayat mein hila sar
aqeel nomani