اردو हिंदी
Un nigahon ko ham-awaz kiya hai maine | Shaahi Shayari
un nigahon ko ham-awaz kiya hai maine

Ghazal

Un nigahon ko ham-awaz kiya hai maine

Fawad Ahmad

;

un nigahon ko ham-awaz kiya hai main ne
tab kahin git ka aaghaz kiya hai main ne

KHatm ho ta-ki sitaron ki ijara-dari
KHak ko mail-e-parwaz kiya hai main ne

aap ko ek nai KHiffat se bachane ke liye
chandni ko nazar-andaz kiya hai main ne

aasmanon ki taraf aur nahin dekhunga
ek nae daur ka aaghaz kiya hai main ne

ruThe logon ko manane mein maza aata hai
jaan kar aap ko naraaz kiya hai main ne

tum mujhe chhoD ke is tarah nahin ja sakte
is talluq pe bahut naz kiya hai main ne

wo jo sadiyon se yahan band paDa tha dekho
shairi ka wahi dar baz kiya hai main ne

sun ke mabhut hui jati hai duniya sari
sher likkhe hain ki ejaz kiya hai main ne

ishq mein nam kamana koi aasan na tha
sare ahbab ko naraaz kiya hai main ne

sirf logon ko batane se tasalli na hui
chand taron ko bhi hamraaz kiya hai main ne

aur bhi honge kai chahne wale lekin
aap ke nam ko mumtaz kiya hai main ne

aasmanon se pare karta hai ab ja ke shikar
tair-e-dil ko wo shahbaz kiya hai main ne

shairon se jo tere baad kabhi ho na saka
kaam wo hafiz-e-shiraaz kiya hai main ne