un nigahon ko ajab tarz-e-kalam aata hai
aisa lagta hai bahaaron ka payam aata hai
marhala hota hai jab dar-o-rasan ka darpesh
qura-e-fal hum aison hi ke nam aata hai
ai mere naseh-e-mushfiq kabhi ye bhi socha
kaun duniya mein KHushi se tah-e-dam aata hai
baada-noshi mein bhi hai kaif-e-sukun-baKHsh magar
hae wo kaif jo be-minnat-e-jam aata hai
apni hansti ka bhi ehsas jahan ho na sake
aalam-e-hosh mein ek wo bhi maqam aata hai
pesh-dasti hai KHarabaat-e-jahan ka dastur
takte rahne se kahin hath mein jam aata hai
ahl-e-himmat ke hasin KHwabon ki nikli tabir
ibn-e-adam ko sitaron ka salam aata hai
Ghazal
Un nigahon ko ajab tarz-e-kalam aata hai
Habeeb Ahmad Siddiqui