اردو हिंदी
Un labon ki yaad aai gul ke muskurane se | Shaahi Shayari
un labon ki yaad aai gul ke muskurane se

Ghazal

Un labon ki yaad aai gul ke muskurane se

Faiyaz Ahmad

;

un labon ki yaad aai gul ke muskurane se
zaKHm-e-dil ubhar aae phir bahaar aane se

jaane thi gurez un ko ya ki sharm mahfil mein
raat mujh se katrae wo nazar milane se

raaz jo chhupae the aaj sab pe zahir hain
kuchh meri kahani se kuchh tere fasane se

haal jo hamara hai sab to un pe raushan hai
phir bataun kya hoga haal-e-dil sunane se

un ko hum se kya matlab hum ko kya gharaz 'fayyaz'
tark ishq kar baiThe hum to ek zamane se