un ko hai e'tidal mujhe intiha pasand
un ki juda pasand hai meri juda pasand
jaur-o-jafa pasand hai sharm-o-haya pasand
kafir ada ki hai mujhe ek ek ada pasand
un ka mizaj aur hai mera mazaq aur
in ko jafa pasand hai mujh ko wafa pasand
kya KHub hai ye waqt ki raftar dekhiye
karte hain mai-kade ko bhi ab parsa pasand
rakhte hain do-jahan mein wahi zindagi ka haq
baDh kar hayat se bhi hai jin ko qaza pasand
manzil se dur jada-e-manzil se dur hai
kis baat par karen tujhe ai rahnuma pasand
'jaanbaz' kyun ayan na hon gul-kariyan teri
mushkil zamin hai jab tujhe ai KHush-nawa pasand

Ghazal
Un ko hai etidal mujhe intiha pasand
Satyapal Janbaz