un ki surat nazar nahin aati
shab-e-gham ki sahar nahin aati
yun to gardish mein hai nazar un ki
hum jidhar hain udhar nahin aati
qatl bimar ko karo aa kar
chaara-sazi agar nahin aati
aane wali to thi magar kab tak
maut ki kuchh KHabar nahin aati
jama hain mai-kade mein matwale
kyun ghaTa jhum kar nahin aati
kaun si wo bala hai hijr ki shab
jo meri jaan par nahin aati
jis ghaDi ho bashar ko gham se najat
wo ghaDi umr bhar nahin aati
aaj wo yun laDe hain 'shankar' se
sulh hoti nazar nahin aati

Ghazal
Unki surat nazar nahin aati
Shankar Lal Shankar