un ki nigah-e-naz ke Thukrae hue hain
hum jurm-e-mohabbat ki saza pae hue hain
ye saya-nashinan-e-guzar-gah-e-tamanna
kuchh ishq ke kuchh aql ke bahkae hue hain
ab un ko nai subh ke paigham suna do
jo tirgi-e-waqt se ghabrae hue hain
mai chhalkegi mai ublegi mai barsegi rindo
mai-KHane mein KHud shaiKH-e-haram aae hue hain
tauba nahin TuTegi subu aae ki KHum aae
mai-kash teri aankhon ki qasam khae hue hain
un ashkon ke qatron ko bhi be-maya na samjho
mazlumon ki aankhon mein jagah pae hue hain
ab un ke taghaful ka 'wafa' zikr na chheDo
dekho to wo kis naz se sharmae hue hain
Ghazal
Unki nigah-e-naz ke Thukrae hue hain
Vafa Malikpuri