un ki nazar ka lutf numayan nahin raha
hum par wo iltifat-e-nigaran nahin raha
dil-bastagi-o-aish ka saman nahin raha
KHush-bashi-e-hayat ka saman nahin raha
ye bhi nahin ki gul mein latafat nahin rahi
par jannat-nigah gulistan nahin raha
har be-hunar se garm hai bazar-e-siflagi
ahl-e-hunar ke waste maidan nahin raha
apni zaban apna tamaddun badal gaya
lutf-e-kalam ab wo suKHan-dan nahin raha
kyun ab tawaf-e-ku-e-malamat se hai gurez
kya wo junun-e-kucha-e-jaanan nahin raha
sikha hai hadsat-e-zamana se khelna
hum ko hiras-e-mauja-e-tufan nahin raha
har bait jis ke faiz se bait-ul-ghazal bane
ab wo surur-e-chashm-e-ghazalan nahin raha
diwangi-e-shauq ke qurban jaiye
ab imtiyaz-e-jeb-o-gareban nahin raha
pir-e-mughan ki baiat-e-kaamil ke faiz se
ab shaiKH nam ka bhi musalman nahin raha
un ki nigah-e-naz ka ye iltifat hai
chaaragaron ka zist par ehsan nahin raha
kya haal hai tumhaara azizan-e-lucknow
tahzib-e-ahl-e-dilli ka pursan nahin raha
har shai hai is jahan mein lekin KHuda-gawah
'gulzar' is dayar mein insan nahin raha
Ghazal
Unki nazar ka lutf numayan nahin raha
Gulzar Dehlvi