un ki mahfil mein hamesha se yahi dekha riwaj
aankh se bimar karte hain tabassum se ilaj
main jo roya un ki aankhon mein bhi aansu aa gae
husn ki fitrat mein shamil hai mohabbat ka mizaj
meri KHatir KHud uThate hain wo taklif-e-karam
kaun rakhta warna mujh jaise gunahgaron ki laj
mere hone aur na hone par hi kya mauquf hai
maut par un ki hukumat zindagi par un ka raj
uf wo aariz jis ke jalwon par fida mehr-e-mubin
aah wo lab jin ko dete hain mah o anjum KHiraj
main hun 'anwar' un ki zat-e-pak ka adna ghulam
hai sar-e-aqdas pe jin ke rahmat-e-yazdan ka taj
Ghazal
Unki mahfil mein hamesha se yahi dekha riwaj
Anwar Sabri