un ki god mein sar rakh kar jab aansu aansu roya tha
kuchh lamhe guzre wo lamha meri aankhon se guzra tha
ai saTan ke nile pardo tum par ye kis ka saya hai
kya mujh ko kuchh wahm hua hai ya sach-much koi aaya tha
jaise darwaza wa kar ke nikla hai koi kamre se
jaise ek do lamhe guzre sofe par koi baiTha tha
sach sach kahna ai diwaro ai taswiro jhuT na bolo
aaKHir hai tu us kamre mein jis ne us ka nam liya tha
tum to kuchh aise bhul gae ho jaise kabhi waqif hi nahin the
aur jo yunhi karna tha sahab kis liye itna pyar kiya tha
aaj to sarson ka pila-pan agni bharta hai tan man mein
ek samay tha jab yahi mausam khet khet pyara lagta tha
ek purane git ki dhun ne guzri yaaden yaad dila din
daman ko ashkon se bhigoe ek zamana bit chala tha
Ghazal
Unki god mein sar rakh kar jab aansu aansu roya tha
Bimal Krishn Ashk