un ki fitrat us ko kahiye ya ki fitrat ka usul
Dub jate hain sitare aur bikhar jate hain phul
ek nazar ki kya haqiqat hai magar ai dosto
umr bhar ki maut ban jati hai ek lamhe ki bhul
hum to hain un mahfilon ke aaj tak mare hue
jin mein naghmon ki hai shorish jin mein zulfon ki hai dhul
aur jo kuchh bhi hai un ke darmiyan wo hai garan
zindagi arzan hai aur hai maut bhi sahlul-husul
aaj tak dahki hui sine mein hai aariz ki aag
dil mein ab tak chubh rahe hain un ki palkon ke babul
de rahe hain is tarah wo 'kakawi'-sahab ki dad
puchhte hain aap ke ashaar ki shan-e-nuzul
Ghazal
Unki fitrat usko kahiye ya ki fitrat ka usul
Arshad Kakvi