اردو हिंदी
Unki chuTki mein dil na mal jata | Shaahi Shayari
unki chuTki mein dil na mal jata

Ghazal

Unki chuTki mein dil na mal jata

Sakhi Lakhnvi

;

un ki chuTki mein dil na mal jata
to ye sikka hamara chal jata

shama tha yar jo pighal jata
aur main parwana tha jo jal jata

kya kahen sair ko wo gul na gaya
bagh ka rang hi badal jata

gor hi se na ban paDi warna
azhdaha to hamein nigal jata

ab to pistan nikaliye sahab
itne sin mein anar phal jata

sadme ghere hain hijr mein dam ko
sans pata to ye nigal jata

kya giraata 'saKHi' ye charKH mujhe
ya-'ali' kahta aur sambhal jata