اردو हिंदी
Unki aamad hai gul-fishani hai | Shaahi Shayari
unki aamad hai gul-fishani hai

Ghazal

Unki aamad hai gul-fishani hai

Alok Mishra

;

un ki aamad hai gul-fishani hai
rang-e-KHushbu ki mezbani hai

kaisi hogi na jaane sham-e-umr
subh jab aisi sar-girani hai

maut ka kuchh pata nahin lekin
zindagi sirf nauha-KHwani hai

marne wala hai markazi kirdar
aaKHiri moD par kahani hai

KHud-kushi jaisi koi baat nahin
ek zara mujh ko bad-gumani hai

ye jo barud hai hawaon mein
aag thoDi si bas lagani hai

us ka likkha hi ji raha hun main
us ki babat hi ye kahani hai