un ke ruKH par nikhaar ka aalam
gulistan par bahaar ka aalam
mast aankhon mein shabnami aansu
gauhar-e-abdar ka aalam
un ke aane pe un ke jaane par
dil-e-be-iKHtiyar ka aalam
raqs karte hain kitne paimane
us nazar mein KHumar ka aalam
wa-e-hasrat ki tere hote bhi
tere hi intizar ka aalam
ruTh jaana tera lagawaT se
be-ruKHi mein bhi pyar ka aalam
barq uTThi balaen lene ko
hai qafas par bahaar ka aalam
arz-e-matlab pe mere ai 'nayyar'
nigah-e-sharm-sar ka aalam
Ghazal
Un ke ruKH par nikhaar ka aalam
Nayyar Aasmi