un ke ruKH par jamal hai goya
ishq ka sab kamal hai goya
tere laeq nahin koi tashbih
sadgi be-misal hai goya
baat sach thi unhen garan guzri
rast-goi muhaal hai goya
sab ko dutkara ab meri bari
mujh pe bhi kuchh KHayal hai goya
kuchh na samjhe ki kya hai ye duniya
ek makDi ka jal hai goya
garmi-e-ishq hind se suraj
sari duniya pe lal hai goya
jis ko sun kar hain mahw-e-hairat sab
wo 'asar' KHush-KHayal hai goya

Ghazal
Un ke ruKH par jamal hai goya
Marghoob Asar Fatmi