un ke jalwe nigahon mein Dhalte rahe
hausle dil hi dil mein machalte rahe
doston ne to kanTe bichhae bahut
muskuraate hue hum bhi chalte rahe
koi phulon se daman ko bhar le gaya
hum khaDe bagh mein hath malte rahe
is ki bharpur alhaD jawani pe hum
muskuraate sisakte machalte rahe
raste manzilen dur hoti gain
meri fitrat mein chalna tha chalte rahe
ashk bahte rahe dil dhaDakta raha
raat-bhar karwaTen hum badalte rahe
umr yun hi guzarti rahi 'shaziya'
choT khate rahe aur sambhalte rahe
Ghazal
Un ke jalwe nigahon mein Dhalte rahe
Shaziya Naz