un ke jate hi ye wahshat ka asar dekha kiye
su-e-dar dekha to pahron su-e-dar dekha kiye
dil ko wo kya dekhte soz-e-jigar dekha kiye
lag rahi thi aag jis ghar mein wo ghar dekha kiye
un ki mahfil mein unhen sab raat bhar dekha kiye
ek hum hi the ki ek ek ki nazar dekha kiye
tum sirhane se ghaDi bhar ke liye munh pher lo
dam na niklega meri surat agar dekha kiye
main kuchh is haalat se un ke samne pahuncha ki wo
go meri surat se nafrat thi magar dekha kiye
faeda kya aisi shirkat se adu ki bazm mein
tum udhar dekha kiye aur hum udhar dekha kiye
sham se ye thi tere bimar ki haalat ki log
raat bhar uTh uTh ke aasar-e-sahar dekha kiye
bas hi kya tha be-zaban kahte bhi kya sayyaad se
yas ki nazron se muD kar apna ghar dekha kiye
maut aa kar samne se le gai bimar ko
dekhiye chaaragaron ko chaara-gar dekha kiye
raat bhar taDpa kiya hai dard-e-furqat se 'qamar'
puchh lo taron se tare raat bhar dekha kiye
Ghazal
Un ke jate hi ye wahshat ka asar dekha kiye
Qamar Jalalvi