un ke ek jaan-nisar hum bhi hain
hain jahan sau hazar hum bhi hain
tum bhi bechain hum bhi hain bechain
tum bhi ho be-qarar hum bhi hain
ai falak kah to kya irada hai
aish ke KHwast-gar hum bhi hain
khinch laega jazb-e-dil un ko
hama tan intizar hum bhi hain
bazm-e-dushman mein le chala hai dil
kaise be-iKHtiyar hum bhi hain
shahr KHali kiye dukan kaisi
ek hi baada-KHwar hum bhi hain
sharm samjhe tere taghaful ko
wah kya hoshiyar hum bhi hain
hath hum se milao ai musa
aashiq-e-ru-e-yar hum bhi hain
KHwahish-e-baada-e-tuhur nahin
kaise parhez-gar hum bhi hain
tum agar apni gun ke ho mashuq
apne matlab ke yar hum bhi hain
jis ne chaha phansa liya hum ko
dilbaron ke shikar hum bhi hain
aai mai-KHane se ye kis ki sada
lao yaron ke yar hum bhi hain
le hi to legi dil nigah teri
har tarah hoshiyar hum bhi hain
idhar aa kar bhi fatiha paDh lo
aaj zer-e-mazar hum bhi hain
ghair ka haal puchhiye hum se
us ke jalse ke yar hum bhi hain
kaun sa dil hai jis mein 'dagh' nahin
ishq mein yaadgar hum bhi hain
Ghazal
Un ke ek jaan-nisar hum bhi hain
Dagh Dehlvi