اردو हिंदी
Un ke hote kaun dekhe dida-o-dil ka bigaD | Shaahi Shayari
un ke hote kaun dekhe dida-o-dil ka bigaD

Ghazal

Un ke hote kaun dekhe dida-o-dil ka bigaD

Riyaz Khairabadi

;

un ke hote kaun dekhe dida-o-dil ka bigaD
paD gaya donon mein fart-e-rashk se kaisa bigaD

us ki mahfil ka muraqqa khinch ai mani magar
is muraqqe mein zara tu ghair ka chehra bigaD

tere jhukne se jhuke hain dil ke lene ko hasin
kam laga kar dam ai zalim na tu sauda bigaD

duKHt-e-raz ko shakl teri dekh kar nafrat na ho
talKHi-e-mai se are zahid na munh itna bigaD

han wahi phir kaba ban jaega ai sheKH-e-haram
but-kade ka pahle naqsha khinch phir naqsha bigaD

ho talluq gul-ruKHon se to maza har baat mein
kya banawaT kya khinchawaT kya lagawaT kya bigaD

mere haal-e-zar par aa jae tujh ko aap rahm
o banane wale mere mujh ko tu itna bigaD

koi hon kafir hon ya allah wale ai 'riyaz'
chaar din ki zindagani mein kisi se kya bigaD