اردو हिंदी
Un ke ghar aana nahin jaana nahin | Shaahi Shayari
un ke ghar aana nahin jaana nahin

Ghazal

Un ke ghar aana nahin jaana nahin

Rasheed Rampuri

;

un ke ghar aana nahin jaana nahin
muddaten guzrin wo yarana nahin

naza mein wo ye tasalli de gae
maut bhi aae to ghabrana nahin

kya rahega ishq mein sabit-qadam
dasht koi ghair ne chhana nahin

be-bulae jaun us mahfil mein kyun
galiyan nahaq mujhe khana nahin

main wahi hun jis ko kahte the 'rashid'
tum ne ab tak mujh ko pahchana nahin