un ka wada badal gaya hai
farda aansu mein Dhal gaya hai
tanhai se kuchh hui hain baaten
tanhai se dil bahal gaya hai
mamul-e-nazar wahi hai lekin
mafhum-e-nazar badal gaya hai
ruk ja ai karwan-e-imroz
mazi mera kuchal gaya hai
sahil pe nigah aankh walo
andha tufan machal gaya hai
saghar mein sharab hai ki yaro
angara koi pighal gaya hai
kis shoKH nigah ka tasawwur
ruKHsaron pe rang mal gaya hai
uTThega zarur ek na ek din
fitna filhaal Tal gaya hai
saqi tere mai-kade mein aa kar
insan zara sambhal gaya hai
dekha ai inqilab tujh ko
taswir ka ruKH badal gaya hai
maghrib ke ufuq pe hai tabassum
suraj mashriq mein Dhal gaya hai
wo aae hain yaad sham-e-hasrat
ya koi charagh jal gaya hai
manzil pe 'shamim' ko na paya
shayad aage nikal gaya hai

Ghazal
Un ka wada badal gaya hai
Shamim Karhani