اردو हिंदी
Un ka mansha hai na phaile KHas-o-KHashak mein aag | Shaahi Shayari
un ka mansha hai na phaile KHas-o-KHashak mein aag

Ghazal

Un ka mansha hai na phaile KHas-o-KHashak mein aag

Fitrat Ansari

;

un ka mansha hai na phaile KHas-o-KHashak mein aag
aatish-e-dil na laga dida-e-namnak mein aag

barq-e-gham ban ke jo ehsas-e-nazar phunk gai
is qadar thi tere ek jumla-e-be-bak mein aag

shoala-e-mai ki nawazish hai to lag jaegi
saz-e-hasti ke har ek naghma-e-napak mein aag

un ke aangan mein bhi angare baras jaenge
aah-e-sozan na laga daman-e-aflak mein aag

qafile aur bhi manzil ki taraf aate hain
tum sar-e-rah dabao na abhi KHak mein aag

shukr hai us ki tamanna hui puri yarab
tere diwane ki muddat se rahi tak mein aag

chashm-e-fitrat se Tapakta hai mohabbat ka jalal
phail jae na kahin aalam-e-idrak mein aag