un ka gham bhi na raha pas to phir kya hoga
luT gai daulat-e-ehsas to phir kya hoga
kaun ta-subh jalaega tamanna ke charagh
sham se TuT gai aas to phir kya hoga
jin ki duri mein wo lazzat hai ki betab hai dil
aa gae wo jo kahin pas to phir kya hoga
tum se zinda hai tamanna-e-mazaq-e-ehsas
tum hue dushman-e-ehsas to phir kya hoga
dil gham-e-dost pe maghrur bahut hai lekin
gham bhi aaya na agar ras to phir kya hoga
apni maKHmur nigahon ko na do izn-e-KHiram
baDh gai aur agar pyas to phir kya hoga
hum pareshan the pareshan hain pareshan honge
tum ko aai na KHushi ras to phir kya hoga
azmat-e-ishq hai KHuddari-e-dil tak 'shaer'
bujh gaya shoala-e-ehsas to phir kya hoga

Ghazal
Un ka gham bhi na raha pas to phir kya hoga
Shaayar Lakhnavi