un hi peDon pe ki sayon ka guman rakhte hain
munhasir apne liye aag dhuan rakhte hain
jaise poshak pe poshak pahan kar niklen
KHud ko aazad takalluf se kahan rakhte hain
hum bhi angur ki shaKHon ki tarah uTh uTh kar
hae taqdir ba-dast-e-digran rakhte hain
zalzale aaenge taslim baja laenge
zohd-pindar abhi koh-e-giran rakhte hain
pahle diwangi ki had hi nahin khinchti thi
samne ab ram-e-ahu ke nishan rakhte hain
is qadar fasle phaila ke kahan baiTha hai
tujhe to pas hi misl-e-rag-e-jaan rakhte hain
Ghazal
Un hi peDon pe ki sayon ka guman rakhte hain
syed raza