un aankhon ki hairat aur dabiz karun 
kyun na tujhe bhi aaina tajwiz karun 
harf-e-na-gufta bich mein hail hai kab se 
bab-e-suKHan mein KHamoshi taqriz karun 
fursat-e-shab mein tera dhyan aa jata hai 
kunj-e-chaman kyunkar ghar ki dahliz karun 
aankhen mund jaengi manzar bujhne tak 
is asna mein KHwab kise tafwiz karun
        Ghazal
Un aankhon ki hairat aur dabiz karun
Zia-ul-Mustafa Turk

