un aankhon ka mujh se koi wada to nahin hai
thoDi si mohabbat hai ziyaada to nahin hai
uslub-e-nazar se mera mafhum na samjhe
wo yar mera itna bhi sada to nahin hai
aaghaz jo ki main ne nai ek mohabbat
ye pichhli mohabbat ka iada to nahin hai
sine mein bujha jata hai dil mera sar-e-sham
is gham ka ilaj aatish-e-baada to nahin hai
phir se teri aankhon mein siwa rang-e-mohabbat
phir tark-e-mohabbat ka irada to nahin hai
parwaz ke sab KHwab yahin rakkhe hain main ne
go kunj-e-qafas itna kushada to nahin hai
KHanon mein bhaTakta nazar aaya mujhe insan
shatranj zamana ka piyaada to nahin hai
jate hain kahin aur pahunchte hain kahin aur
ek aur bhi jada pas-e-jada to nahin hai
Ghazal
Un aankhon ka mujhse koi wada to nahin hai
Farasat Rizwi

