umud ho ke ufuq mein badal rahe hain sutun
dahal rahi hai imarat pighal rahe hain sutun
bina hi khokhli Thahri to kya uruj-o-zawal
shikastagi ki alamat mein Dhal rahe hain sutun
chhaten to gir gain shahtir ki KHarabi se
ye kis ka bojh uThae sambhal rahe hain sutun
hawa ke ruKH ne naya marsiya likha hai jahan
bhaDak uThi hai wahin aag jal rahe hain sutun
nida hai kaisi zamin ai zamin KHabar to le
ki band kamron ka sab raaz ugal rahe hain sutun
badalte lamhon ko ginte hue hain istada
nazar ka zawiya kahta hai chal rahe hain sutun

Ghazal
Umud ho ke ufuq mein badal rahe hain sutun
Rauf Khalish