اردو हिंदी
Umr sari yunhi guzari hai | Shaahi Shayari
umr sari yunhi guzari hai

Ghazal

Umr sari yunhi guzari hai

Hasan Rizvi

;

umr sari yunhi guzari hai
din kisi ke hain shab hamari hai

kah rahi hai ye sham-e-tanhai
aaj ki raat hum pe bhaari hai

do-ghaDi pyar ki karen baaten
dil jalane ko umr sari hai

kuchh parinde faza mein uDte hain
kuchh parindon pe KHauf tari hai

jaise sahra mein ek shajar tanha
hum ne yun zindagi guzari hai

apna shewa mohabbaten karna
aage marzi 'hasan' tumhaari hai