اردو हिंदी
Umr sari teri chahat mein bitani paD jae | Shaahi Shayari
umr sari teri chahat mein bitani paD jae

Ghazal

Umr sari teri chahat mein bitani paD jae

Asif Shafi

;

umr sari teri chahat mein bitani paD jae
ye bhi mumkin hai ki ye aag bujhani paD jae

meri is KHana-badoshi ka sabab puchhte ho
apni diwar agar tum ko girani paD jae

mere aada se kaho had se tajawuz na karen
ye na ho mujh ko bhi shamshir uThani paD jae

kya tamasha ho agar waqt ke sultan ko bhi
dar-e-insaf ki zanjir hilani paD jae

kash phir mujh se wo puchhen meri wahshat ka sabab
kash phir mujh ko wo taswir dikhani paD jae

dasht se shahr mein kuchh soch ke aana 'asif'
zindagi bhar ki riyazat pe na pani paD jae