umr lambi to hai magar baba
sare manzar hain aankh bhar baba
zindagi jaan ka zarar baba
kaise hogi guzar-basar baba
aur aahista se guzar baba
samne hai abhi safar baba
tum bhi kab ka fasana le baiThe
ab wo diwar hai na dar baba
bhule-bisre zamane yaad aae
jaane kyun tum ko dekh kar baba
han haweli thi ek suna hai yahan
ab to baqi hain bas khanDar baba
raat ki aankh DabDaba aai
dastan kar na muKHtasar baba
har taraf samt hi ka sahra hai
bhag kar jaenge kidhar baba
us ko salon se napna kaisa
wo to hai sirf sans-bhar baba
ho gai raat apne ghar jao
kyun bhaTakte ho dar-ba-dar baba
rasta ye kahin nahin jata
aa gae tum idhar kidhar baba

Ghazal
Umr lambi to hai magar baba
Sheen Kaaf Nizam