umr ko karti hain pamal barabar yaaden
marne deti hain na jine ye sitamgar yaaden
hain kabhi KHun-e-tamanna ki shanawar yaaden
shaKH-e-dil par hain kabhi barg-e-gul-e-tar yaaden
himmat-e-koh-kani par bhi kabhi bhaari hain
aur tulti hain kabhi nok-e-mizha par yaaden
thak ke duniya se agar kijiye KHwabon ki talash
nind uDa deti hain afsane suna kar yaaden
rah bhule hue sayyah ko tanha pa kar
luT leti hain miTa deti hain chhup kar yaaden
ahd-e-rafta ke pur-asrar ghane jangal mein
phunk kar sehr bana deti hain patthar yaaden
koi KHud-rafta-o-gum-gashta bhaTakta hai jahan
ajnabi ban ke wahan milti hain akasr yaaden
jab bhi mazi ke dayaron se guzar hota hai
kasa-e-chashm liye phirti hain dar-dar yaaden

Ghazal
Umr ko karti hain pamal barabar yaaden
Waheed Akhtar