umr ki rau badal gai shayad
hum se aage nikal gai shayad
lauh par chand TeDhe meDhe KHutut
meri surat badal gai shayad
phir charagh-e-sutun-e-dar bujha
aaj phir maut Tal gai shayad
mai-kade mein paDi hai us ki lash
wo phaTi hanDi chal gai shayad
sarkashi KHud-kashi pe KHatm hui
ek rassi thi jal gai shayad
kuchh nahin baqi ab ba-juz KHushbu
kya jawani thi Dhal gai shayad

Ghazal
Umr ki rau badal gai shayad
Wamiq Jaunpuri