umr ke lambe safar se tajraba aisa mila
dhup jab bhi sar pe aai lapata saya mila
dekhna hai aks mujh ko apna pura hi magar
jab mila wo aaina mujh ko zara TuTa mila
hanste chehron ki kahani jaanti hun KHub main
jis ko bhi parkha wahi TuTa mila bikhra mila
jal rahe the panw ek muddat se rahat ke liye
jis taraf bhi main gai tapta hua sahra mila
raat din manga dua jis ham-safar ke waste
mere jite-ji wo mera marsiya paDhta mila
ye safar main ne akele hi kiya hai 'chandni'
ham-safar mujh ko kahan koi mere jaisa mila

Ghazal
Umr ke lambe safar se tajraba aisa mila
Chandni Pandey