umr inkar ki diwar se sar phoDti hai
ranj ye hai use aaya na saliqa apna
ek din raat ke asrar khulenge hum par
shak ki bauchhaar se chhalni hua sina apna
KHurd-binon se kai dagh chhupae apne
gham-gusaron ne koi bhed na paya apna
apni khoi hui aawaz rasai mange
jaan se uljha hai koi naghma rasila apna
nind wo ret ki diwar ki mismar hui
apni aankhon mein chhupa rakkha hai sahra apna
zindagi ek guzarti hui parchhain hai
aaina dekhta rahta hai tamasha apna
barg-e-awaz ke manind uDenge ye pahaD
gharq ho jaega pani mein jazira apna
KHwab dekha tha ki hum honge bichhaDne wale
munhadim ho gae par KHwab na TuTa apna
chand ki tarh kai dagh hain peshani par
maut ke samne mahtab hai chehra apna

Ghazal
Umr inkar ki diwar se sar phoDti hai
Saqi Faruqi