umr guzri jis ka rasta dekhte
aa bhi jata wo to hum kya dekhte
kaise kaise moD aae rah mein
sath chalte to tamasha dekhte
qarya-qarya jitna aawara phire
ghar mein rah lete to duniya dekhte
gar baha aate na dariyaon mein hum
aaj un aankhon se sahra dekhte
KHud hi rakh aate diya diwar par
aur phir us ka bhaDakna dekhte
jab hui tamir jism o jaan to log
hath ka miTTi mein khona dekhte
do qadam chal aate us ke sath sath
jis musafir ko akela dekhte
e'tibar uTh jata aapas ka 'jamal'
log agar us ka bichhaDna dekhte
Ghazal
Umr guzri jis ka rasta dekhte
Jamal Ehsani