اردو हिंदी
Umr guzri isi maidan ko sar karne mein | Shaahi Shayari
umr guzri isi maidan ko sar karne mein

Ghazal

Umr guzri isi maidan ko sar karne mein

Mujahid Faraaz

;

umr guzri isi maidan ko sar karne mein
jo makan hum ko mila tha use ghar karne mein

ishq aasan kahan umr guzar jati hai
apni jaanib kisi ghafil ki nazar karne mein

aazmaish se to be-chaari ghazal bhi guzri
ek shahanshah bahadur ko zafar karne mein

subh ke baad bhi kuchh logon ki ninden na khulin
aur hum TuT gae shab ko sahar karne mein

lakh dushwar ho dil ko to sukun milta hai
zindagi apne tariqe se basar karne mein

rang laengi tamannaen zara sabr karo
waqt lagta hai duaon ko asar karne mein