umr-e-rafta ki kahani kya hai
ek tohmat hai jawani kya hai
mere ashkon ki rawani dekhi
tere KHanjar ki rawani kya hai
tere mahbub tabassum ka jawab
meri aashufta-bayani kya hai
raat rote hue guzregi zarur
warna ye dil pe girani kya hai
dushman-e-zist pe jaan deta hun
aur jine ki nishani kya hai
hath mein tegh hai bal chitwan par
aaj ye aap ne Thani kya hai
ahd-e-piri mein rulati hai lahu
hae kambaKHt jawani kya hai
ek mauhum sa tufan-e-KHudi
kuchh nahin josh-e-jawani kya hai
Ghazal
Umr-e-rafta ki kahani kya hai
Ehsan Danish

