اردو हिंदी
Umr-e-pas-manda kuchh dalil si hai | Shaahi Shayari
umr-e-pas-manda kuchh dalil si hai

Ghazal

Umr-e-pas-manda kuchh dalil si hai

Mushafi Ghulam Hamdani

;

umr-e-pas-manda kuchh dalil si hai
zindagani bhi ab qalil si hai

girya karta hun kya main nazr-e-husain
aansuon ki jo ek sabil si hai

chal dila wo patang uData hai
abhi aane mein us ke Dhil si hai

log karte hain wasf-e-nur-jahan
main ne dekha wo zan to fil si hai

kis ke mizhgan ne ye kiya jadu
mere dil mein gaDi jo kil si hai

tu gar aawe shikar-e-mahi ko
chashm-e-tar aansuon se jhil si hai

us ko sohbat ka gar dimagh nahin
taba apni bhi kuchh alil si hai

dil mera misr-e-husn hai tab to
nadi aankhon ki rud-e-nil si hai

hai jo ye 'mushafi' ki ham-KHwaba
hai to achchhi pa kuchh asil si hai