umr-e-abad ka ma-hasal ishq ka daur-e-na-tamam
hae wo masti-e-sahar hae wo be-KHudi-e-sham
pahle maal soch len ham-safaran-e-sust-gam
meri sarisht mein nahin KHwahish-e-manzil-o-maqam
tair-e-KHasta-haal ko dam bhi kunj-e-ashiyan
murgh-e-chaman-naward ko gosha-e-ashiyan bhi dam
ab bhi KHuda-parast hai dair-o-haram ki qaid mein
hae-nigah-e-na-rasa hae-mazaq-e-na-tamam
kaif-e-nazar ki mastiyan ahl-e-nazar se puchhiye
jaise koi pila gaya baada-e-mushk-bu ke jam
KHubi-o-shan-e-dil-bari ghamza-o-naz hi nahin
husn mein wo ada bhi hai jis ka nahin hai koi nam
Ghazal
Umr-e-abad ka ma-hasal ishq ka daur-e-na-tamam
Zafar Taban