umr bhar us ne isi tarah lubhaya hai mujhe
wo jo is dasht ke us par se laya hai mujhe
kitne aainon mein ek aks dikhaya hai mujhe
zindagi ne jo akela kabhi paya hai mujhe
tu mera kufr bhi hai tu mera iman bhi hai
tu ne luTa hai mujhe tu ne basaya hai mujhe
main tujhe yaad bhi karta hun to jal uThta hun
tu ne kis dard ke sahra mein ganwaya hai mujhe
tu wo moti ki samundar mein bhi shoala-zan tha
main wo aansu ki sar-e-KHak giraya hai mujhe
itni KHamosh hai shab log Dare jate hain
aur main sochta hun kis ne bulaya hai mujhe
meri pahchan to mushkil thi magar yaron ne
zaKHm apne jo kurede hain to paya hai mujhe
waiz-e-shahr ke naron se to kya khulti aankh
KHud mere KHwab ki haibat ne jagaya hai mujhe
ai KHuda ab tere firdaus pe mera haq hai
tu ne is daur ke dozaKH mein jalaya hai mujhe
Ghazal
Umr bhar usne isi tarah lubhaya hai mujhe
Ahmad Nadeem Qasmi