umr-bhar us ki nishani dekhiye
ishq kar yun jawedani dekhiye
yaad kije wo pari-chehra sada
aur har su raat-rani dekhiye
hijr ke mausam mein bhi gulzar hun
ye ghazab ki baghbani dekhiye
dhaDkanen tasbih us ke nam ki
dil pe us ki hukmarani dekhiye
dard mehman hai magar jata nahin
aap meri mezbani dekhiye
aap hain jo ishq ke ahl-e-zaban
meri bhi kar tarjumani dekhiye
bebasi bechainiyan betabiyan
'ashna' ke sab maani dekhe
Ghazal
Umr-bhar uski nishani dekhiye
Vineet Aashna