umr-bhar sine mein ek dard dabae rakkha
ek be-nam se rishte ko nibhae rakkha
tha mujhe wahm-o-guman ki wo faqat meri hai
aur us ne bhi bharam mera banae rakkha
aandhiyan sharm se ho jae na pani pani
sar yahi soch ke peDon ne jhukae rakkha
waise har baat se rakkha use waqif hum ne
lekin afsana-e-ulfat ko chhupae rakkha
ek rishta jise main de na saka koi nam
ek rishta jise ta-umr nibhae rakha
kuza-gar tujh ko banana hi nahin tha jab kuchh
kis liye chaak pe ta-umr chaDhae rakkha
Ghazal
Umr-bhar sine mein ek dard dabae rakkha
Aks samastipuri