umr-bhar ka hua ziyan jaanan
hum yahan aur tum wahan jaanan
nind aai nahin kai din se
KHwab hone lage garan jaanan
kaun jaane teri meri uljhan
kaun samjhega ye zaban jaanan
baad tere yahi raha aalam
dhul hi dhul aur dhuan jaanan
tu bhi zahir nahin zamane pe
main bhi hota nahin ayan jaanan
Ghazal
Umr-bhar ka hua ziyan jaanan
Arif Ishtiaque