umr-bhar ishq kisi taur na kam ho aamin
dil ko har rose ata neamat-e-gham ho aamin
mere kase ko hai bas chaar hi sikkon ki talab
ishq ho waqt ho kaghaz ho qalam ho aamin
hujra-e-zat mein ya mahfil-e-yaran mein rahun
fikr duniya ki mujhe ho bhi to kam ho aamin
jab main KHamosh rahun raunaq-e-mahfil Thahrun
aur jab baat karun baat mein dam ho aamin
log chahen bhi to hum ko na juda kar paen
yun meri zat teri zat mein zam ho aamin
ishq mein Dub ke jo kuchh bhi likhun kaghaz par
KHud-baKHud lauh-e-zamana pe raqam ho aamin
na Dara pae mujhe tirgi-e-dasht-e-firaq
har taraf raushni-e-dida-e-nam ho aamin
'mir' ke sadqe mere harf ko darweshi mile
dur mujh se hawas-e-dam-o-diram ho aamin
mere kanon ne suna hai tere bare mein bahut
meri aankhon pe bhi thoDa sa karam ho aamin
jab zamin aaKHiri hiddat se pighalne lag jae
ishq ki chhanw mere sar ko baham ho aamin
Ghazal
Umr-bhar ishq kisi taur na kam ho aamin
Rehman Faris