umr bhar ek si uljhan to nahin ban sakte
dost ban jaen ki dushman to nahin ban sakte
hum ko malum hai tum kya nahin ban pate ho
dhup ban jate ho sawan to nahin ban sakte
main ne dekha hai wo insan tumhaare andar
ram ban jaoge rawan to nahin ban sakte
naqd sanson ke liye dil se mohabbat karna
hum kabhi qarz ki dhaDkan to nahin ban sakte
har shikan aaj hai bistar ki tumhaari KHatir
tum mere chain ke dushman to nahin ban sakte
roz ek jaisi adakari na hogi hum se
tum bhi ek raat ki dulhan to nahin ban sakte
ek jaisi to nahin hoti hai sari duniya
sab tere rup ka darpan to nahin ban sakte
main hi ban jaunga kuchh der ko un ke jaisa
mere bachche mera bachpan to nahin ban sakte
haq talab karte hain baKHshish to nahin mangte hain
hum teri bhik ka bartan to nahin ban sakte
Ghazal
Umr bhar ek si uljhan to nahin ban sakte
Fay Seen Ejaz